Hindi Poem videos by Aditya Dheemar Watch Free

Published On : 15-Apr-2020 11:48am

257 views

“Corona par ab nhi Rona”
Jaalim yeah corona ka kahar dekh rha hun,
Har oar Tabahi ka dhunva dekh rha hun,
Jindgi ke liye kar rhe arthvyavasta ka khairbaad,
Bharat sahit samasta vishvaki mahashaktito ko rota hua dekh rha hun,
America, Italy sahit China ki baat kya kahey Mahendra kisise,
Bharat ke hriday mein bhay ka mahol dekh rha hu,
Bar-bar vartamaan ki Wo ajeeb dasta meri aankhey nam kar jati hai,
Chah kr bhi mastishk meri Tumhari bhananak maut Dekhi nhi jati hai,
Chinta ka vishay to hai Corona, par
Kahar corona ka main Bharat, sampurna vishva se bhaga rha hun,
Kitni bhi aa rhi hai kathinaiya Magar,
Deh ki duriya bda, man ki najdikiya bdhane sikha rha hun,
Haan main Bharat hum, “Vishva Swasthya Sangathan “ ka sadasya,
Sabko nirantar hath dhona, N-95 mask lgana sikha rha hun,
Hai meri sabse vinamra nivedana, hath na milkar durse hi Namaskar krna sikha rha hun,……….!!
Ghar par rhen ! Savdhan rhen ! Surkshit rhen!
Yeah mulmantra sikha rha hun,
Koi bhi bhukha na rhe, garib majduro ka sambal bnna sikha rha hun,
Haan main Bharat hun, khud main social distance ka palan kr rha hun,
Aur iski mahati mahima sabko sikha rha hun,
Aao ek hunkar bhare, Corona warriors ka samman krein,
Talie -Thalie aur deeye ki jagmag se sankhnaad kr,
Ghar par hi rhen! Ghar par hi rhen!
Yeah nivedan barmbaar kr rha hun… ……..!!!

Apka apna
Mahendra Dheemar
TGT mathematics, CPWS school, Bilaspur
Add:- Mahamai para Dheemar mohalla purani basti Raipur
Con:- 6260079590/7828653651
Mail id:- adityavidheemar@gmail.com

0 Comments

Related Videos

Show More